DaraKHton Ke Liye

ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega

aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge

aise aalam mein bahut paishkashen hongi tumhein

tum magar apni riwayat se na phirna hargiz

shah ki kursi mein Dhalne se kahin behtar hai

kisi foot-path ke hotel ka wo TuTa hua taKHta banna

maile kapDon mein sahi log mohabbat se jahan baiThte hain

kisi banduq ka dasta bhi nahin hona tumhein

chaqu chhuriyon ko bhi KHidmat na apni dena

aise darwaze ki chaukhaT bhi na banna hargiz

jo mohabbat-bhari dastak pe kabhi khul na sake

ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega

aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge

koi baisakhi banae to sahaara dena

aur kashti ke liye itni mohabbat se tum aage baDhna

ki samundar ki faraKHi bhi bahut kam paD jae

apne patwar mere bazuon jaise rakhna

jo kisi aur ki taqat ke siwa zinda hain

meri duniya ki abhi waqif-e-ulfat hi nahin

mere bazu bhi mohabbat ke siwa zinda hain

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DaraKHton Ke Liye In English By Famous Poet Fazil Jamili. DaraKHton Ke Liye is written by Fazil Jamili. Read famous Poem DaraKHton Ke Liye for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download DaraKHton Ke Liye in PDF.