Milon Ke Shahr Mein GhaTta Hua Din Sochta Hoga

milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga

agar mar kar phir uThna hai to marne ki KHushi kya hai

badan khone ka gham jine ki KHushiyon se siwa hoga

suna hai ye zamin uDti phiregi rui ki surat

tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga

main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDta samajhta hun

magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga

tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai

magar ek roz mera jism ThanDa paD gaya hoga

mujhe KHushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte

magar us ko mera KHali badan bhi kaTta hoga

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milon Ke Shahr Mein GhaTta Hua Din Sochta Hoga In English By Famous Poet Fazl Tabish. Milon Ke Shahr Mein GhaTta Hua Din Sochta Hoga is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Milon Ke Shahr Mein GhaTta Hua Din Sochta Hoga for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Milon Ke Shahr Mein GhaTta Hua Din Sochta Hoga in PDF.