Jab Jangal Basti Mein Aaya

mere chaaron or makanon se aati aawazen

saDkon par lahraati an-ginat motor-caren

schoolon se chhanti zinda hansti bhin bhin

lamppost se bahti jagmag dhaara

hanste logon se bharpur dokanen saDken

aKHbaron mein chhapne wali unche insanon ki baaten

jo barson mein pure honge aise mansubon ki baaten kahti hain

hum sab zinda hain

arse tak zinda rahna hai

agle bis baras mein basti

apni pakki saDken le kar

jangal ke kone kone mein

basti ka mahfuz tasawwur pahuncha degi lekin jangal

saDken banne se pahle hi

jangal ka qanun uThae aa jata hai

basti jangal ban jati hai

sab zinda hain

basti jangal

arse tak zinda rahna hai

basti jangal

(742) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jab Jangal Basti Mein Aaya In English By Famous Poet Fazl Tabish. Jab Jangal Basti Mein Aaya is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Jab Jangal Basti Mein Aaya for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Jab Jangal Basti Mein Aaya in PDF.