KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha

KHarab-haal hun har haal mein KHarab raha

KHushi mein bhi gham-e-dil ka sa iztirab raha

nazara-e-ruKH-e-zeba ki yan kise fursat

naqab ruKH pe rahi ya wo be-naqab raha

tarab ki bazm mein ja kar karega kya koi

na wo piyala na wo mai na wo shabab raha

nawa-e-shauq nikalti hai ab bhi dil se magar

na wo upaj na wo mahfil na wo rabab raha

har ek chiz ki duniya mein had muqarrar hai

magar ye ranj zamana ka be-hisab raha

KHayal-o-KHwab masarrat ki ek tawaqqoa par

tamam-umr mujhe intizar-e-KHwab raha

(1229) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha In English By Famous Poet Fazlurrahman. KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha is written by Fazlurrahman. Read famous Poem KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha for youth and Student by Fazlurrahman. Free Download KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha in PDF.