Gham-e-jaanan Se Rangin Aur Koi Gham Nahin Hota

gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota

ki is ke dard mein ehsas-e-besh-o-kam nahin hota

wo hain kam-zarf jin ka shor-e-nala kam nahin hota

chaman mein phul bhi to hain unhen kya gham nahin hota

kamal-e-zabt-e-girya azmat-e-shan-e-mohabbat hai

chhalak jae jo paimana wo jam-e-jam nahin hota

yahan tak dil ko aadat ho gai hai be-qarari ki

sukun-e-zindagi mein bhi taDapna kam nahin hota

tumhaari yaad hi ke sath dhaDkan baDh gai dil ki

tasawwur se mizaj-e-husn to barham nahin hota

KHizan ki uljhanen gulchin ka khaTka hai magar phir bhi

kali ka bagh mein lutf-e-tabassum kam nahin hota

kuchh aisi baat hai sayyaad jo hum muskuraate hain

nahin to aashiyan luTne ka kis ko gham nahin hota

na jaane kyun tumhaare gham ko duniya gham samajhti hai

masarrat se to is ka martaba kuchh kam nahin hota

'figar' is gulshan-e-hasti ka ibrat-KHez aalam hai

ki shabnam ro rahi hai gul ka hansna kam nahin hota

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-jaanan Se Rangin Aur Koi Gham Nahin Hota In English By Famous Poet Figar Unnavi. Gham-e-jaanan Se Rangin Aur Koi Gham Nahin Hota is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Gham-e-jaanan Se Rangin Aur Koi Gham Nahin Hota for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Gham-e-jaanan Se Rangin Aur Koi Gham Nahin Hota in PDF.