Tufan Se Bach Ke Daman-e-sahil Mein Rah Gaya

tufan se bach ke daman-e-sahil mein rah gaya

mushkil ke baad aur bhi mushkil mein rah gaya

ek shor tha jo gosha-e-mahfil mein rah gaya

ek dard tha jo dil se uTha dil mein rah gaya

ab wo nigah-e-naz hui mail-e-karam

jab koi muddaa na mere dil mein rah gaya

manzil mere qarib se ho kar guzar gai

aur main talash-e-jada-e-manzil mein rah gaya

manzil fana-e-zauq-e-talab ka maqam thi

achchha hua main sarhad-e-manzil mein rah gaya

allah-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigah-e-qais

ek naqsh ban ke parda-e-mahmil mein rah gaya

nala to KHair nang-e-gham-e-ishq tha magar

naghma bhi soz-o-saz ki mahfil mein rah gaya

sare hijab-e-husn nigahon se haT gae

ek aaina zarur muqabil mein rah gaya

mujh se ye puchhti hain meri hichkiyan 'figar'

ab kitna fasla teri manzil mein rah gaya

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan Se Bach Ke Daman-e-sahil Mein Rah Gaya In English By Famous Poet Figar Unnavi. Tufan Se Bach Ke Daman-e-sahil Mein Rah Gaya is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Tufan Se Bach Ke Daman-e-sahil Mein Rah Gaya for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Tufan Se Bach Ke Daman-e-sahil Mein Rah Gaya in PDF.