Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla

daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla

hausla kuchh na hamara na tumhaara nikla

tera nam aate hi sakte ka tha aalam mujh par

jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla

hosh jata hai jigar jata hai dal jata hai

parde hi parde mein kya tera ishaara nikla

hai tere kashf-o-karamat ki duniya qail

tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla

kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the

lakhon mein bas wahi allah ka pyara nikla

ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi

hae wo dil jo hamara na tumhaara nikla

ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain

rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla

sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the wo dil

rashk-e-jamshed-o-kai-o-KHusrau-o-dara nikla

aql ki lau se farishton ke bhi par jalte hain

rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla

rone wale hue chup hijr ki duniya badli

shama be-nur hui subh ka tara nikla

ungliyan uTThin 'firaq'-e-watan-awara par

aaj jis samt se wo dard ka mara nikla

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla in PDF.