Hijr-o-visal-e-yar Ka Parda UTha Diya

hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya

KHud baDh ke ishq ne mujhe mera pata diya

gard-o-ghubar-e-hasti-e-fani uDa diya

ai kimiya-e-ishq mujhe kya bana diya

wo samne hai aur nazar se chhupa diya

ai ishq-e-be-hijab mujhe kya dikha diya

wo shan-e-KHamushi ki bahaaren hain muntazir

wo rang-e-guftugu ki gulistan bana diya

dam le rahi thin husn ki jab sehr-kariyan

in waqfa-ha-e-kufr ko iman bana diya

malum kuchh mujhi ko hain un ki rawaniyan

jin qatra-ha-e-ashk ko dariya bana daya

ek barq-e-be-qarar thi tamkin-e-husn bhi

jis waqt ishq ko gham-e-sabr-azma diya

saqi mujhe bhi yaad hain wo tishna-kaamiyan

jin ko harif-e-saghar-o-mina bana diya

malum hai haqiqat-e-gham-ha-e-rozgar

duniya ko tere dard ne duniya bana diya

ai shoKHi-e-nigah-e-karam muddaton ke baad

KHwab-e-giran-e-gham se mujhe kyun jaga diya

kuchh shorishen taghaful-e-pinhan mein thin jinhen

hangama-zar-e-hashr-e-tamanna bana diya

baDhta hi ja raha hai jamal-e-nazar-fareb

husn-e-nazar ko husn-e-KHud-ara bana diya

phir dekhna nigah laDi kis se ishq ki

gar husn ne hijab-e-taghaful uTha diya

jab KHun ho chuka dil-e-hasti-e-etibar

kuchh dard bach rahe jinhen insan bana diya

gum-karda-e-wafur-e-gham-e-intizar hun

tu kya chhupa ki mujh ko mujhi se chhupa diya

raat ab harif-e-subh-e-qayamat hi kyun na ho

jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jaga diya

ab main hun aur lutf-o-karam ke takallufat

ye kyun hijab-e-ranjish-e-be-ja bana diya

thi yun to sham-e-hijr magar pichhli raat ko

wo dard uTha 'firaq' ki main muskura diya

(1462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr-o-visal-e-yar Ka Parda UTha Diya In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Hijr-o-visal-e-yar Ka Parda UTha Diya is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Hijr-o-visal-e-yar Ka Parda UTha Diya for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Hijr-o-visal-e-yar Ka Parda UTha Diya in PDF.