Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun

junun-e-kargar hai aur main hun

hayat-e-be-KHabar hai aur main hun

miTa kar dil nigah-e-awwalin se

taqaza-e-digar hai aur main hun

kahan main aa gaya ai zor-e-parwaz

wabaal-e-baal-o-par hai aur main hun

nigah-e-awwalin se ho ke barbaad

taqaza-e-digar hai aur main hun

mubarakbaad ayyam-e-asiri

gham-e-diwar-o-dar hai aur main hun

teri jamiyyaten hain aur tu hai

hayat-e-muntashar hai aur main hun

koi ho sust-paiman bhi to yun ho

ye sham-e-be-sahar hai aur main hun

nigah-e-be-mahaba tere sadqe

kai TukDe jigar hai aur main hun

Thikana hai kuchh is uzr-e-sitam ka

teri nichi nazar hai aur main hun

'firaq' ek ek hasrat miT rahi hai

ye matam raat bhar hai aur main hun

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun in PDF.