Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi

kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi

ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi

hazar bar zamana idhar se guzra hai

nai nai si hai kuchh teri rahguzar phir bhi

kahun ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar

ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi

KHusha ishaara-e-paiham zahe sukut-e-nazar

daraaz ho ke fasana hai muKHtasar phir bhi

jhapak rahi hain zaman o makan ki bhi aankhen

magar hai qafila aamada-e-safar phir bhi

shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar

ki kaT hi jaegi ye sham-e-be-sahar phir bhi

kahin yahi to nahin kashif-e-hayat-o-mamat

ye husn o ishq ba-zahir hain be-KHabar phir bhi

palaT rahe hain gharib-ul-watan palaTna tha

wo kucha ru-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi

luTa hua chaman-e-ishq hai nigahon ko

dikha gaya wahi kya kya gul o samar phir bhi

KHarab ho ke bhi socha kiye tere mahjur

yahi ki teri nazar hai teri nazar phir bhi

ho be-niyaz-e-asar bhi kabhi teri miTTi

wo kimiya hi sahi rah gai kasar phir bhi

lipaT gaya tera diwana garche manzil se

uDi uDi si hai ye KHak-e-rahguzar phir bhi

teri nigah se bachne mein umr guzri hai

utar gaya rag-e-jaan mein ye neshtar phir bhi

gham-e-firaq ke kushton ka hashr kya hoga

ye sham-e-hijr to ho jaegi sahar phir bhi

fana bhi ho ke giran-bari-e-hayat na puchh

uThae uTh nahin sakta ye dard-e-sar phir bhi

sitam ke rang hain har iltifat-e-pinhan mein

karam-numa hain tere jaur sar-ba-sar phir bhi

KHata-muaf tera afw bhi hai misl-e-saza

teri saza mein hai ek shan-e-dar-guzar phir bhi

agarche be-KHudi-e-ishq ko zamana hua

'firaq' karti rahi kaam wo nazar phir bhi

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi in PDF.