Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai

ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai

sun le ki mera nam-o-nishan aur hi kuchh hai

itna to yaqin hai ki wahi hain teri aankhen

is par bhi magar wahm-o-guman aur hi kuchh hai

shoalon mein wo andaz kahan soz-e-nihan ke

uThta hai jo dil se wo dhuan aur hi kuchh hai

ek kaifiyat-e-raaz hai gham hai na masarrat

is bazm-e-mohabbat mein saman aur hi kuchh hai

jo marhala-e-qurbat-o-duri se guzar jae

sunte hain ki wo jazb-e-nihan aur hi kuchh hai

ya dard ke naghmon mein wahi hai teri aawaz

ya parda-e-saz-e-rag-e-jaan aur hi kuchh hai

ye nind ka jhonka to nahin be-KHudi-e-ishq

hoshyar ki wo KHwab-e-giran aur hi kuchh hai

ab maut bhi hai gard-rah-e-kucha-e-jaanan

un manzilon mein umr-e-rawan aur hi kuchh hai

achchhe hain jahan hain magar ai daman-e-jaanan

pate hain jo tujh mein wo aman aur hi kuchh hai

bijli ke chamakne mein kahan ishq ki garmi

wo shola-e-larzan-o-tapan aur hi kuchh hai

jo zaKHm khila de jo mera rang uDa de

wo fasl-e-gul o fasl-e-KHizan aur hi kuchh hai

ek KHwab-e-parishan se hain is daur ke aasar

hoshyar ki ab rang-e-jahan aur hi kuchh hai

ek chiz hai nairangi-e-rudad-e-mohabbat

lekin ba-hadis-e-digaran aur hi kuchh hai

shair hain 'firaq' aur bhi is daur mein lekin

ye rang-e-bayan rang-e-zaban aur hi kuchh hai

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai in PDF.