Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya

baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya

zindagi phir mujhe jine ka qarina aaya

har nafas zist ke mathe pe pasina aaya

ye bhi jina hai ki aisa hamein jina aaya

kitne pahlu nazar aa jaen na jaane dil ke

aaina-saz ke hathon mein nagina aaya

phir sar-e-bazm koi jam-ba-kaf aata hai

tark-e-tauba ke tasawwur pe pasina aaya

tohamat-e-baada-parasti ka saza-war hua

tera mai-kash jise do ghunT na pina aaya

chehra-e-waqt se ulTi na gai hum se naqab

kaam apne na kabhi dida-e-bina aaya

tishna-lab rakkha teri chashm-e-karam ne saqi

jab mujhe baada-parasti ka qarina aaya

un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu 'fitrat'

mere daman mein umidon ka KHazina aaya

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya In English By Famous Poet Fitrat Ansari. Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya is written by Fitrat Ansari. Read famous Poem Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya for youth and Student by Fitrat Ansari. Free Download Baad Muddat Ke KHayal-e-mai-o-mina Aaya in PDF.