Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain

dilon ke aaine dhundle paDe hain

bahut kam log KHud ko jaante hain

KHizan ke KHushk patton ko na chheDo

thake-mande musafir so rahe hain

hamari gham-gusari mein shab-e-gham

charagh aahista aahista jale hain

nishan pata nahin koi kisi ka

sabhi ek dusre ko DhunDte hain

bas ek mauj-e-hawa-e-gham hai kafi

irade kya gharaunde ret ke hain

KHuda dil ka nagar aabaad rakhe

hazaron tarah ke gham pal rahe hain

shab-e-mahtab yaaden gul-ruKHon ki

safine mauj-e-KHun mein tairte hain

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain In English By Famous Poet Fuzail Jafri. Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain is written by Fuzail Jafri. Read famous Poem Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain for youth and Student by Fuzail Jafri. Free Download Dilon Ke Aaine Dhundle PaDe Hain in PDF.