Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De

naumid kare dil ko na manzil ka pata de

ai rah-guzar-e-ishq tere kya hain irade

har raat guzarta hai koi dil ki gali se

oDhe hue yaadon ke pur-asrar libaade

ban jata hun sar-ta-ba-qadam dast-e-tamanna

Dhal jate hain ashkon mein magar shauq irade

us chashm-e-fusun-gar mein nazar aati hai aksar

ek aatish-e-KHamosh ki jo dil ko jala de

aazurda-e-ulfat ko gham-e-zindagi jaise

tapte hue jangal mein koi aag laga de

yaadon ke mah-o-mehr tamannaon ke baadal

kya kuchh na wo saughat sar-e-dasht-e-wafa de

yaad aati hai us husn ki yun 'jafari' jaise

tanhai ke ghaaron se koi KHud ko sada de

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De In English By Famous Poet Fuzail Jafri. Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De is written by Fuzail Jafri. Read famous Poem Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De for youth and Student by Fuzail Jafri. Free Download Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De in PDF.