Qadam Qadam Pe Hain Bikhri Haqiqaten Kya Kya

qadam qadam pe hain bikhri haqiqaten kya kya

buzurg chhoD gae hain shahadaten kya kya

main taza-dam bhi hun bechain bhi hawa ki tarah

mere qadam se hain lipTi riwayaten kya

mizaj alag sahi hum donon kyun alag hon ki hain

sarab o aab mein poshida qurbaten kya kya

karam inad KHushi gham asir-e-mayusi

dilon ko deti hai duniya bhi dawaten kya kya

main baz aaya na laDne se haar kar bhi 'fuzail'

mere KHuda ki hain mujh par inayaten kya kya

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Qadam Pe Hain Bikhri Haqiqaten Kya Kya In English By Famous Poet Fuzail Jafri. Qadam Qadam Pe Hain Bikhri Haqiqaten Kya Kya is written by Fuzail Jafri. Read famous Poem Qadam Qadam Pe Hain Bikhri Haqiqaten Kya Kya for youth and Student by Fuzail Jafri. Free Download Qadam Qadam Pe Hain Bikhri Haqiqaten Kya Kya in PDF.