Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche

sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche

warna hum log kahan husn-e-nazar tak pahunche

aaj palkon pe meri jashn-e-charaghan hoga

kitne anmol guhar dida-e-tar tak pahunche

meri raaton ka andhera bhi duaen dega

ek sitara jo utar kar mere ghar tak pahunche

kaun kahta hai ki KHurshid utar kar aae

ek jugnu hi magar KHak-basar tak pahunche

jo bhi aae tere kuche mein wo jaan se guzre

sar hatheli pe uThae tere dar tak pahunche

hai usi sahib-e-mearaj ka ehsan ki hum

KHak ho kar bhi magar shams-o-qamar tak pahunche

main andheron ka musafir hun ujalon ka naqib

kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunche

ungliyan pahle qalam karna paDengi 'babar'

phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahunche

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche In English By Famous Poet Gaffar Babar. Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche is written by Gaffar Babar. Read famous Poem Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche for youth and Student by Gaffar Babar. Free Download Sar Kiya Zulf Ki Shab Ko To Sahar Tak Pahunche in PDF.