Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai

ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai

zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai

ho gae barbaad teri aarzu se pesh-tar

zist nazr-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gai

tauba tauba us nigah-e-mast ki sarshaariyan

derpa tauba bhi gharq-e-jam ho kar rah gai

us nigah-e-naz ko to koi kuchh kahta nahin

aur mohabbat ki nazar badnam ho kar rah gai

har KHushi tabdil gham mein ho gai tere baghair

subh mujh tak aai bhi to sham ho kar rah gai

ru-ba-ru un ke kahan thi fursat-e-izhaar-e-gham

lab ko ek jumbish barae nam ho kar rah gai

un ke jalwon ki sahar to 'tarz' duniya le gai

gesuon ki sham apne nam ho kar rah gai

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai In English By Famous Poet Ganesh Bihari Tarz. Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai is written by Ganesh Bihari Tarz. Read famous Poem Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai for youth and Student by Ganesh Bihari Tarz. Free Download Ahl-e-dil Ke Waste Paigham Ho Kar Rah Gai in PDF.