Kitne Jumle Hain Ki Jo Ru-posh Hain Yaron Ke Bich

kitne jumle hain ki jo ru-posh hain yaron ke bich

hum bhi mujrim ki tarah KHamosh hain yaron ke bich

kya kahen kis ne bahaaron ko KHizan-saman kiya

dekhne mein to sabhi gul-posh hain yaron ke bich

ye bhi sach hai ghar ke bhedi ne kiya ghar ko tabah

ye bhi lagta hai ki sab nirdosh hain yaron ke bich

kya pata kab KHun ka pyasa yahan ho jae kaun

yun to kahne ko sabhi mai-nosh hain yaron ke bich

han chala ab saqiya jadu bhari nazron ke tir

hum bhi dekhen kis qadar zi-hosh hain yaron ke bich

bazm-e-yaran hai ye saqi mai nahin to gham na kar

kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke bich

'tarz' paDhta hai koi jab jhum kar nazm o ghazal

aisa lagta hai 'firaq' o 'josh' hain yaron ke bich

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Jumle Hain Ki Jo Ru-posh Hain Yaron Ke Bich In English By Famous Poet Ganesh Bihari Tarz. Kitne Jumle Hain Ki Jo Ru-posh Hain Yaron Ke Bich is written by Ganesh Bihari Tarz. Read famous Poem Kitne Jumle Hain Ki Jo Ru-posh Hain Yaron Ke Bich for youth and Student by Ganesh Bihari Tarz. Free Download Kitne Jumle Hain Ki Jo Ru-posh Hain Yaron Ke Bich in PDF.