Aaiye Ai Jaan-e-alam Aaiye

aaiye ai jaan-e-alam aaiye

apne bande par karam farmaiye

id aai aur gaya mah-e-siyam

chand sa munh aap to dikhlaiye

sal-bhar guzra umid-e-wasl mein

id ka din hai gale lag jaiye

ek ghaDi bhi baiThna dubhar hua

dil ko samjha lenge achchha jaiye

wasl ki kahta hun jab 'gauhar' se main

hans ke kahte hain ki munh banwaiye

(578) Peoples Rate This

Gauhar Begum Gauhar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Aaiye Ai Jaan-e-alam Aaiye In English By Famous Poet Gauhar Begum Gauhar. Aaiye Ai Jaan-e-alam Aaiye is written by Gauhar Begum Gauhar. Read famous Poem Aaiye Ai Jaan-e-alam Aaiye for youth and Student by Gauhar Begum Gauhar. Free Download Aaiye Ai Jaan-e-alam Aaiye in PDF.