Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein

alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

dekha hai main ne akasr be-jaan aaine mein

kamre mein raqs karti chalti hain jab hawaen

kuchh aks bolte hain har aan aaine mein

hoga kisi ka chehra pahchan ki lagan mein

hongi kisi ki aankhen hairan aaine mein

tahzib ka tasallut hai aaine se bahar

tariKH ke safar ka wijdan aaine mein

rangon ki barishon se dhundla gaya hai manzar

aaya hua hai koi tufan aaine mein

zinda haqiqaton ki hoti hai parda-poshi

palti hai jab raunat nadan aaine mein

ho raushni ki zulmat sahra ho ya samundar

hota hai zindagi ka 'irfan' aaine mein

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein In English By Famous Poet Ghalib Irfan. Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein is written by Ghalib Irfan. Read famous Poem Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein for youth and Student by Ghalib Irfan. Free Download Alfaz-e-be-sada Ka Imkan Aaine Mein in PDF.