Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9931b7ec399b031c9ea89f30a11ae672, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum - Ghamgeen Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum

us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum

KHud-ba-KHud apne se hamdam aap ghabraate hain hum

hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh

jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum

baiThe baiThe kyun yakayak hae dil khoya gaya

hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin pate hain hum

KHud-ba-KHud kal shab ko wo bole uTha munh se naqab

jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum

be-sabab ho kar KHafa jab kuchh sunata hai wo shoKH

ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum

sham ko saqi kabhi aata hai gar tera KHayal

subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum

hum ne gham kya KHak khaya gham ne hum ko kha liya

log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum

jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher

ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum

jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin

dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum in PDF.