Koi Hamrah Nahin Rah Ki Mushkil Ke Siwa

koi hamrah nahin rah ki mushkil ke siwa

hasil-e-umr bhi kya hai gham-e-hasil ke siwa

ek sannaTa musallat tha guzargahon par

zindagi thi bhi kahan kucha-e-qatil ke siwa

har qadam hadse har gam marahil the yahan

apne qadmon mein har ek shai rahi manzil ke siwa

tha misali jo zamane mein samundar ka sukut

kaun tufan uThata raha sahil ke siwa

apne markaz se har ek chiz gurezan nikli

laila har bazm mein thi KHalwat-e-mahmil ke siwa

apni rahon mein to KHud boe hain kanTe us ne

dushman-e-dil ki nahin aur koi dil ke siwa

apni taqdir tha barbaad-e-mohabbat hona

mahfilen aur bhi thin aap ki mahfil ke siwa

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Hamrah Nahin Rah Ki Mushkil Ke Siwa In English By Famous Poet Ghani Ejaz. Koi Hamrah Nahin Rah Ki Mushkil Ke Siwa is written by Ghani Ejaz. Read famous Poem Koi Hamrah Nahin Rah Ki Mushkil Ke Siwa for youth and Student by Ghani Ejaz. Free Download Koi Hamrah Nahin Rah Ki Mushkil Ke Siwa in PDF.