Na Hote Shad Aain-e-gulistan Dekhne Wale

na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale

fasana bhi agar paDh lete unwan dekhne wale

halakat-KHez ijadon pe duniya faKHr karti hai

kahan hain irtiqa-e-nau-e-insan dekhne wale

jo mumkin ho tum apne hath ki rekha khurach Dalo

ki hum hain to sahi KHwab-e-pareshan dekhne wale

ye raKHne hain ye dar hain ye tere ajdad ke sar hain

idhar aa katba-e-diwar-e-zindan dekhne wale

tulu-e-aftab-e-agahi kya KHak dekhenge

hiqarat se mera chaak-e-gareban dekhne wale

to phir kaisi nazar-bandi tilsimat-e-tadabbur kya

jo KHud ko dekh len jashn-e-charaghan dekhne wale

shikast-e-zauq-e-nazzara muqaddar hi sahi 'ghausi'

unhen dekhenge phir bhi ta-ba-imkan dekhne wale

(593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Hote Shad Aain-e-gulistan Dekhne Wale In English By Famous Poet Ghaus Mohammad Ghausi. Na Hote Shad Aain-e-gulistan Dekhne Wale is written by Ghaus Mohammad Ghausi. Read famous Poem Na Hote Shad Aain-e-gulistan Dekhne Wale for youth and Student by Ghaus Mohammad Ghausi. Free Download Na Hote Shad Aain-e-gulistan Dekhne Wale in PDF.