Be-niyaz-e-bahaar Sa Kyun Hai

be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai

dil ko zaKHmon se pyar sa kyun hai

wo KHafa hain ki hum gharibon ko

gham pe kuchh iKHtiyar sa kyun hai

meri aankhon ke KHwab to gham hain

wo magar be-qarar sa kyun hai

aks us mein tha kis ke chehre ka

aaina sangsar sa kyun hai

aahaTen pas aa ke dur huin

hum ko phir intizar sa kyun hai

kya koi sandali mahak si uDi

dil mera pur-KHumar sa kyun hai

zindagi talKH hai bahut 'anjum'

phir bhi zalim se pyar sa kyun hai

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-niyaz-e-bahaar Sa Kyun Hai In English By Famous Poet Ghayas Anjum. Be-niyaz-e-bahaar Sa Kyun Hai is written by Ghayas Anjum. Read famous Poem Be-niyaz-e-bahaar Sa Kyun Hai for youth and Student by Ghayas Anjum. Free Download Be-niyaz-e-bahaar Sa Kyun Hai in PDF.