Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

paniyon mein surKH paude dhup mein saya uga

aasman ki bhiD mein to is liye socha gaya

is zamin ki chhatiyon se nur ka chashma uga

nind mein chalne ki aadat KHwab mein likhne ka fan

ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma uga

main ne apni donon aankhon mein ugae hain pahaD

teri aankhon mein samundar tha wahan sahra uga

sabza-e-begana ban kar ji liya to kya jiya

KHud ko bo kar is zamin se ek naya chehra uga

dhup jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai

tu agar ghawwas hai to ret mein dariya uga

ye zamin buDhi hai us ko piTh se apni utar

aasman ko jeb mein rakh le nai duniya ka uga

hum to KHud izhaar hain apne zamane ka 'matin'

bujh gae aawaz ke shoale naya lahja uga

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga In English By Famous Poet Ghayas Mateen. Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga is written by Ghayas Mateen. Read famous Poem Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga for youth and Student by Ghayas Mateen. Free Download Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga in PDF.