Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha

apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha

chehre pe aadmi ke hai chehra chaDha hua

manzar tha aankh bhi thi tamanna-e-did bhi

lekin kisi ne did pe pahra biTha diya

aisa karen ki sara samundar uchhal paDe

kab tak yun sath-e-ab pe dekhenge bulbula

barson se ek makan mein rahte hain sath sath

lekin hamare bich zamanon ka fasla

majma tha DugDugi thi madari bhi tha magar

hairat hai phir bhi koi tamasha nahin hua

aankhen bujhi bujhi si hain bazu thake thake

aise mein koi tir chalane ka faeda

wo be-kasi ki aankh khuli thi meri magar

zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biTha diya

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha In English By Famous Poet Ghazanfar. Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha is written by Ghazanfar. Read famous Poem Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha in PDF.