Masafat Ki Garan Har Ek Saat TuT Jati Hai

masafat ki garan har ek saat TuT jati hai

teri chashm-e-inayat se aziyyat TuT jati hai

teri yaadon ki surat se nikalti hai ajab surat

ujale yun baraste hain ki zulmat TuT jati hai

sada-e-haq-shanasi gasht karti rahti hai lekin

zamana ye samajhta hai sadaqat TuT jati hai

bara-e-jazba-sazi kuchh dikhawa ho magar yaro

riya-kari baratne se ibaadat TuT jati hai

ghazal mein jiddat-o-nudrat zaruri hai bahut 'amjad'

magar fanni buKHalat se salasat TuT jati hai

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masafat Ki Garan Har Ek Saat TuT Jati Hai In English By Famous Poet Ghufran Amjad. Masafat Ki Garan Har Ek Saat TuT Jati Hai is written by Ghufran Amjad. Read famous Poem Masafat Ki Garan Har Ek Saat TuT Jati Hai for youth and Student by Ghufran Amjad. Free Download Masafat Ki Garan Har Ek Saat TuT Jati Hai in PDF.