Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi

milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi

rah mein dasht nahin paDta tha chaar gharon ki duri thi

jazbon ka dam ghuTne laga hai lafzon ke ambar tale

pahle nishan-zad kar lena tha jitni baat zaruri thi

teri shakl ke ek sitare ne pal bhar sargoshi ki

shayad mah-o-sal-e-wafa ki bas itni mazduri thi

pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab

ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi

ek ghazal ko dur se dekha aur ghazal tayyar hui

sahme sahme se lafzon mein halki si kasturi thi

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Milne Ki Har Aas Ke Pichhe An-dekhi Majburi Thi in PDF.