Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The

nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the

hum ek shaKHs ka kitna KHayal rakhte the

jabin pe aane na dete the ek shikan bhi kabhi

agarche dil mein hazaron malal rakhte the

KHushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi

aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the

bas ishtiyaq-e-takallum mein bar-ha hum log

jawab dil mein zaban par sawal rakhte the

usi se karte the hum roz o shab ka andaza

zamin pe rah ke wo suraj ki chaal rakhte the

junun ka jam mohabbat ki mai KHirad ka KHumar

hamin the wo jo ye sare kamal rakhte the

chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se

mohabbaton ke uruj o zawal rakhte the

kuchh un ka husn bhi tha mawara misalon se

kuchh apna ishq bhi hum be-misal rakhte the

KHata nahin jo khile phul rah-e-sarsar mein

ye jurm hai ki wo fikr-e-maal rakhte the

(2017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Nazar Nazar Mein Ada-e-jamal Rakhte The in PDF.