Dua Aur Bad-dua Ke Darmiyan

dua aur bad-dua ke darmiyan jab rabte ka pul nahin TuTa

to main kis tarah pahuncha bad-duaen dene walon mein

main un ki ham-nawai par hua mamur

ham-awaz hun un ka

ki jin ke nama-e-amal mein in bad-duaon ke siwa kuchh bhi nahin

un ke kahe par aaj tak baadal nahin barse

kabhi mausam nahin badle

koi tufan, koi sailab un ki aarzuon se nahin palTa

ye nadan, sare maqtulon ki fihristen uThae aasman ko dekhte hain

aur samajhte hain ki duniya un ke nam aur shakl-o-surat bhul jaegi

wagarna qatilon ko KHud-kushi karna paDegi

aur ye itne bahadur bhi nahin hote

to jab tak aasmanon aur hamare darmiyan hail

hujum-e-qatilan chhaTta nahin haTta nahin parda

dua aur bad-dua ke lafz ham-mani rahenge

ab dua-e-zindagi qatil ko den

ya bad-dua KHud ko

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dua Aur Bad-dua Ke Darmiyan In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Dua Aur Bad-dua Ke Darmiyan is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Dua Aur Bad-dua Ke Darmiyan for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Dua Aur Bad-dua Ke Darmiyan in PDF.