Kisi Se KHwab Ka Charcha Na Karna

kisi se KHwab ka charcha na karna

tamannaon ko be-parda na karna

zamana lakh bahkae magar tum

wafaon ka kabhi sauda na karna

KHataon ki saza aaKHir milegi

rulaega use tauba na karna

bichhaDte waqt aansu rok lena

tum apne aap ko ruswa na karna

tumhein achchhi tarah pahchanti hun

wafa ka mujh se tum wada na karna

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Se KHwab Ka Charcha Na Karna In English By Famous Poet Girija Wiyas. Kisi Se KHwab Ka Charcha Na Karna is written by Girija Wiyas. Read famous Poem Kisi Se KHwab Ka Charcha Na Karna for youth and Student by Girija Wiyas. Free Download Kisi Se KHwab Ka Charcha Na Karna in PDF.