Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-kashi Apni

faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni

wo mahfil uTh gai qaem thi jis se sarKHushi apni

KHuda ya na-KHuda ab jis ko chaho baKHsh do izzat

haqiqat mein to kashti ittifaqan bach gai apni

bas ab guzrenge rah-e-zindagi se be-niyazana

agar tere karam par munhasir hai zindagi apni

bahut ji chahta hai ye faqat naqs-e-basarat ho

baDi surat se duniya kho rahi hai dilkashi apni

KHamoshi par bhi hai un ko guman arz-e-tamanna ka

zaban-e-haal se kuchh kah gai waraftagi apni

agar tum hans diye ahwal-e-dil par kya tajjub hai

ki main KHud bhi ba-mushkil zabt karta hun hansi apni

hui hain barishen sang-e-malamat ki bahut lekin

rahe waz-e-junun qaem hai shorida-sari apni

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-kashi Apni In English By Famous Poet Gopal Mittal. Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-kashi Apni is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-kashi Apni for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-kashi Apni in PDF.