Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai

jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai

KHamushi bhi aap ki aaina-dar-e-naghma hai

gosh ek muddat se mahrum-e-samaat hai magar

dil ajab nadan hai ab tak e'tibar-e-naghma hai

farq ye hai nutq ke sanche mein Dhal sakta nahin

warna jo aansu hai durr-e-shah-war-e-naghma hai

munkir-e-saz-e-masarrat hun to kafir hun magar

ham-nafas mizrab-e-gham par inhisar-e-naghma hai

ai ki shikwa tha tujhe sangin-mizaji ka meri

dekh is patthar mein bhi mauj-e-sharar-e-naghma hai

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai In English By Famous Poet Gopal Mittal. Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai in PDF.