Phir Wo Nazar Hai Izn-e-tamasha Liye Hue

phir wo nazar hai izn-e-tamasha liye hue

tajdid-e-arzu ka taqaza liye hue

chashm-e-siyah mein mastiyan sham-e-visal ki

aariz farogh-e-subh-e-nazara liye hue

har ek shaKHs tark-e-tamanna ka muddai

har ek shaKHs teri tamanna liye hue

kal shab tulu-e-mah ka manzar ajib tha

tum jaise aa gae ruKH-e-zeba liye hue

dil aaj tak hai lutf-e-farawan se sharmsar

lab aaj tak hain aap ka shikwa liye hue

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wo Nazar Hai Izn-e-tamasha Liye Hue In English By Famous Poet Gopal Mittal. Phir Wo Nazar Hai Izn-e-tamasha Liye Hue is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Phir Wo Nazar Hai Izn-e-tamasha Liye Hue for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Phir Wo Nazar Hai Izn-e-tamasha Liye Hue in PDF.