Ek Husn-farosh LaDki Ke Nam

meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta

magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta

main tujh ko chahta hun walihana pyar karta hun

main gata rahta hun par ye naghma ga nahin sakta

tujhe apna banana maujib-e-rahat samajh kar bhi

tujhe apna bana lun ye samajh mein aa nahin sakta

bana sakta hun shab ko apne bistar ki tujhe zinat

magar din mein tere qasr-e-hasin tak ja nahin sakta

hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka

tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta

mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere

main teri ruh ki gahraiyon tak ja nahin sakta

main tere ras-bhare honTon ko pyari chum sakta hun

magar main tere dil par aah qabza pa nahin sakta

tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par

main KHud dargah mein tere ye tohfa la nahin sakta

meri majburiyon ko bhi bahut kuchh daKHl hai is mein

tujhi ko morid-e-ilzam main Thahra nahin sakta

main tujh se baDh ke apni aabru ko pyar karta hun

main apni izzat-o-namus ko Thukra nahin sakta

tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun-kar

main KHud mahaul se apne rihai pa nahin sakta

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Husn-farosh LaDki Ke Nam In English By Famous Poet Gopal Mittal. Ek Husn-farosh LaDki Ke Nam is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Ek Husn-farosh LaDki Ke Nam for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Ek Husn-farosh LaDki Ke Nam in PDF.