Shauq-e-sawab Kuchh Nahin KHauf-e-azab Kuchh Nahin

shauq-e-sawab kuchh nahin KHauf-e-azab kuchh nahin

jis mein na josh-e-johd ho us ka shabab kuchh nahin

zindagi ek sawal hai jis ka jawab maut hai

maut bhi ek sawal hai jis ka jawab kuchh nahin

naghma-e-nau ke waste ghair ki ehtiyaj kya

chheD de tar-e-saz-e-dil chang-o-rubab kuchh nahin

saf dilon ke waste tang hai arsa-e-hayat

zat-e-hubab KHub hai umr-e-hubab kuchh nahin

barhaman aur shaiKH mein jhagDe yahi hain raat din

teri kitab kuchh nahin teri kitab kuchh nahin

raat ko mai-kade mein kal thi kisi mast ki sada

ek nazar ka rang hai rang-e-sharab kuchh nahin

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq-e-sawab Kuchh Nahin KHauf-e-azab Kuchh Nahin In English By Famous Poet Amn Lakhnvi. Shauq-e-sawab Kuchh Nahin KHauf-e-azab Kuchh Nahin is written by Amn Lakhnvi. Read famous Poem Shauq-e-sawab Kuchh Nahin KHauf-e-azab Kuchh Nahin for youth and Student by Amn Lakhnvi. Free Download Shauq-e-sawab Kuchh Nahin KHauf-e-azab Kuchh Nahin in PDF.