Ye Mai-kash Kaun Ba-sad Laghzish-e-mastana Aata Hai
ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai
ishaare hote hain wo raunaq-e-mai-KHana aata hai
tumhaari bazm bhi kya bazm hai aadab hain kaise
wahi maqbul hota hai jo gustaKHana aata hai
kahani apni apni ahl-e-mahfil jab sunate hain
mujhe bhi yaad ek bhula hua afsana aata hai
dua teri tere mantar bhala maqbul kya honge
badi dil mein liye su-e-ibaadat-KHana aata hai
hawa-e-taza abr-e-tar fuzun josh-e-numu lekin
nasib-e-dushmanan hai khet mein jo dana aata hai
har ek Thokar pe hai ai 'amn' laghzish ka guman mujh ko
har ek patthar nazar sang-e-dar-e-mai-KHana aata hai
(664) Peoples Rate This