ShaKHsiyat Usne Chamak-dar Bana Rakkhi Hai

shaKHsiyat us ne chamak-dar bana rakkhi hai

zehniyat kya kahen bimar bana rakkhi hai

is qadar bhiD ki dushwar hai chalna sab ka

aur ek wo hai ki raftar bana rakkhi hai

ek mushkil ho to aasan bana li jae

us ne to zindagi dushwar bana rakkhi hai

pas aa jata hai main dur chala jaun to

us ne duri bhi lagatar bana rakkhi hai

zehn aur dil mein jo an-ban hai wo an-ban na rahe

is liye darmiyan diwar bana rakkhi hai

shaKHs kaisa hai wo kya hai nahin malum hamein

shahr mein us ne magar dhaar bana rakkhi hai

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKHsiyat Usne Chamak-dar Bana Rakkhi Hai In English By Famous Poet Govind Gulshan. ShaKHsiyat Usne Chamak-dar Bana Rakkhi Hai is written by Govind Gulshan. Read famous Poem ShaKHsiyat Usne Chamak-dar Bana Rakkhi Hai for youth and Student by Govind Gulshan. Free Download ShaKHsiyat Usne Chamak-dar Bana Rakkhi Hai in PDF.