Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai

ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai

duniya mein aansuon ka talabgar kaun hai

KHushiyan chala hun banTne aansu sameT kar

uljhan hai mere samne haqdar kaun hai

zid par aDe hue hain ye dil bhi dimagh bhi

ab dekhna hai in mein asar-dar kaun hai

pahle talash kijiye manzil ki rahguzar

phir sochiye ki rah mein diwar kaun hai

kanon ko chhu ke guzri hai koi sada abhi

ye kaun aah bharta hai bimar kaun hai

is par main hun aur ye TuTi hui si naw

aawaz de raha hai jo us par kaun hai

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai In English By Famous Poet Govind Gulshan. Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai is written by Govind Gulshan. Read famous Poem Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai for youth and Student by Govind Gulshan. Free Download Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai in PDF.