Apna Har Uzw Chashm-e-bina Hai

apna har uzw chashm-e-bina hai

is qadar intizar tera hai

jo hai mahbub tera shaida hai

yusuf aage teri zuleKHa hai

ek mah-ru baghal mein sota hai

aasman par dimagh apna hai

KHak mein jo mila diya mujh ko

aasman ne zamin ko saunpa hai

kis ne chehre se baal sarkae

sham ko subh aashkara hai

ustuKHwan tak kabhi guzar na kiya

mere haq mein huma bhi anqa hai

tere qadmon pe kyun na qais gire

naqsh-e-pa rashk-e-ru-e-laila hai

in dinon ai masih-e-dam tujh par

dam nikalta hai dam nikalta hai

taulun us sim-tan ko nazron mein

ye mera jism-e-zar kanTa hai

husn-e-KHuban hilal-o-badr ki tarah

kabhi kam hai kabhi ziyaada hai

us bayaban mein le gai wahshat

mah-e-nau jis ka ek kanTa hai

dil mein rahta hai us kamar ka KHayal

kya ye anqa ka aashiyana hai

aao aankhon mein ek dam Thahro

putliyon ka yahan tamasha hai

kaf-e-pa bhi na hum ko dikhlae

barhaman hath dekh jata hai

yar nam-e-KHuda hai kashti mein

naKHuda aaj par beDa hai

tera naqsh-e-qadam zamin pe nahin

aasman par koi sitara hai

hum se tum dushmani lage karne

dosti ab nasib-e-ada hai

kah rahe hain shab-e-firaq mein hum

aaj kis ko umid-e-farda hai

KHar chubh kar jo TuTta hai kabhi

aabla phuT phuT rota hai

aankhen nargis hain ruKH hai gul qad sarw

tu to ai gul chaman sarapa hai

kaam poshak se nahin hum ko

aib-poshi hamara shewa hai

de sulaiman ki us pari ko qasam

is tarah shishe mein utara hai

zulf ne naqd-e-dil kiye hain jama

ab to ye sanp koDyala hai

pahunche hain gor ke kinare hum

hum se ab tak tumhein kinara hai

jurm 'goya' ke baKHshwa dena

ya-mohammad faqir tera hai

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Har Uzw Chashm-e-bina Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Apna Har Uzw Chashm-e-bina Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Apna Har Uzw Chashm-e-bina Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Apna Har Uzw Chashm-e-bina Hai in PDF.