Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai

lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai

aaj isa se ye bimar juda hota hai

zulf ko dast-e-hinai se jo chhuta hai wo shoKH

to giraftar wahin dard-e-hina hota hai

tha giraftar-e-shab-o-roz nigahbani mein

hum jo ab chhuTen hain sayyaad riha hota hai

phir bahaar aati hai ai KHar-e-bayaban KHush ho

aaj kal phir guzar aabla-pa hota hai

mar gae hum to saba lai jawab-e-nama

wahi hota hai jo qismat mein likha hota hai

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai in PDF.