Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai

nazzara-e-ruKH-e-saqi se mujh ko masti hai

ye aaftab parasti bhi mai-parasti hai

KHuda ko bhul gaya mahw-e-KHud-parasti hai

tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai

na gul hain ab na wo saqi na mai-parasti hai

chaman mein meinh ke ewaz be-kasi barasti hai

ye mulk-e-husn bhi jaanan ajib basti hai

ki dil si chiz yahan kauDiyon se sasti hai

mah-e-siyam mein go mana-e-mai-parasti hai

magar hun mast ki har roz faqa-masti hai

ye be-sabaat bahaar-e-riyaz-e-hasti hai

kali jo chaTki to hasti par apni hansti hai

bas ek raat ka mehman charagh-e-hasti hai

sirhane roegi ab shama gor hansti hai

dila ye gor-e-ghariban bhi zor basti hai

bajae abr yahan be-kasi barasti hai

gaya jo yan se tah-e-KHak wo kabhi na phira

zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai

naha ke baal nichoDe to yar kahne laga

ghaTa siyah isi tarah se barasti hai

bas ek hath mein do TukDe kar diya hum ko

hamare yar ki ek ye bhi tez-dasti hai

kiya hai chaak gareban subh-e-mahshar tak

ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai

hamein to qatl kiya bas isi nazakat ne

ki wo uThati hain tegh aur nahin ukasti hai

dikha ke phul se chehre ko dil liya KHush ho

jo badle gul ke mile andalib sasti hai

ab ek tauba pe aati hai maghfirat tere hath

KHarid kar ki nihayat ye jins sasti hai

dikhae jis ne ye surat hamein dam-e-aKHir

usi ko dekhne ko ruh ab tarasti hai

na TuTi shisha-e-mai meri sang-e-marqad se

pas az fana bhi mujhe pas-e-mai-parasti hai

asir kar ke hamein KHush na hoiyo sayyaad

ki tu bhi yan to giraftar-e-dam-e-hasti hai

ajab nahin dam-e-isa se bhi jo gul ho jate

ki sham-e-subh hamara charagh-e-hasti hai

wo mangta hai meri jaan ru-numai mein

yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai

kiya hai us ne to yusuf ka chaak daman-e-pak

na puchho ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai

kahun main wahi hai saqi wahi subu wahi jam

mudam-e-baada-e-wahdat ki mujh ko masti hai

alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukae hun main

teri gali mein bhi zalim bulandi pasti hai

jo chahe rahmat-e-haq ijz kar shiar apna

rawan udhar ko hai pani jidhar ko pasti hai

safed ho gai mu-e-siyah ghaflat chhoD

hui hai subh koi dam charagh hasti hai

har ek jawan ka qad KHam hua hai piri se

maal-e-kar bulandi jahan mein pasti hai

wo apni jumbish-e-abru dikha ke kahta hai

ye wo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai

che KHush bawad ki bar aayed bek karishma do kar

sanam baghal mein hai dil mahw-e-haq-parasti hai

hai KHub pahle se 'goya' karun main tark-e-suKHan

ki ek dam mein ye KHamosh sham-e-hasti hai

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai in PDF.