Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain

qatl ushshaq kiya karte hain

but kahan KHauf-e-KHuda karte hain

sar mera tan se juda karte hain

dard ki aap dawa karte hain

aatish-e-gham ne magar phunk diya

dil se shole jo uTha karte hain

jama-e-surKH tera dekh ke gul

pairahan apna qaba karte hain

KHun rote hain chaman mein bulbul

hum gulon se jo hansa karte hain

KHam-e-abru-e-sanam ko dekhen

hum ye kabe mein dua karte hain

apne saqi ko shab-e-furqat mein

pani pi pi ke dua karte hain

roz do-chaar ka KHun karta hai

dast-o-pa surKH raha karte hain

mar gae par hadaf-e-tir hai KHak

ja-ba-ja tode bana karte hain

dahan-e-zaKHm se hum qatil ke

tegh ko chum liya karte hain

shor-e-mahshar se Daren kya aashiq

aise hangame hua karte hain

hote hain dil mein nihayat nadim

KHun jo be-jurm kiya karte hain

mehndi malne ke bahane qatil

kaf-e-afsos mala karte hain

ewaz-e-baada gham-e-saqi mein

KHun-e-dil apna piya karte hain

panw tak hath na pahuncha us ki

hath haihat mala karte hain

jo hamein bhul gaya hai zalim

us ko hum yaad kiya karte hain

na-tawani ne diye par hum ko

jiwan-e-par-e-kah uDa karte hain

hum bane chand ke haale 'goya' hain

gird us mah ke raha karte hain

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain in PDF.