Ye Ek Tera Jalwa Sanam Chaar Su Hai

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai

nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai

ye kis mast ke aane ki aarzu hai

ki dast-e-dua aaj dast-e-subu hai

na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur

jise dekhta hun samajhta hun tu hai

mukaddar na ho yar to saf kah dun

na kyunkar ho KHud-bin ki aaina-ru hai

kabhi ruKH ki baaten kabhi gesuon ki

sahar se yahi sham tak guftugu hai

kisi gul ke kuche se guzri hai shayad

saba aaj jo tujh mein phulon ki bu hai

nahin chaak-daman koi mujh sa 'goya'

na baKHiya ki KHwahish na fikr-e-rafu hai

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ek Tera Jalwa Sanam Chaar Su Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Ye Ek Tera Jalwa Sanam Chaar Su Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Ye Ek Tera Jalwa Sanam Chaar Su Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Ye Ek Tera Jalwa Sanam Chaar Su Hai in PDF.