Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain

zindagi ki raushni ke istiare KHwab hain

dekhiye tabir kya ho kitne pyare KHwab hain

buKHl hai karte nahin KHwabon ki KHushiyon mein sharik

aao hum dete hain tum ko jo hamare KHwab hain

jin ki aankhen thi haqiqat ke tajassus mein magan

un ka daman dekhiye sare ke sare KHwab hain

jagte mein so raha tha un ke jazbon ka shuur

nind us ki hai magar us mein hamare KHwab hain

be-sukun lamhon mein sona hai giran ehsas ka

qarz hai tabir un ki jo udhaare KHwab hain

so gaya tha waqt ke neze pe sar rakkhe hue

main ne ye kaisi bulandi se utare KHwab hain

hum haqiqat mein guzar jaenge KHwabon ki tarah

raushni, zulmat, mah-o-KHurshid sare KHwab hain

(693) Peoples Rate This

Guftar Khayali's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain In English By Famous Poet Guftar Khayali. Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain is written by Guftar Khayali. Read famous Poem Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain for youth and Student by Guftar Khayali. Free Download Zindagi Ki Raushni Ke Istiare KHwab Hain in PDF.