Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain

aansu bhi wahi karb ke sae bhi wahi hain

hum gardish-e-dauran ke satae bhi wahi hain

kya baat hai kyun shahr mein ab ji nahin lagta

haalanki yahan apne parae bhi wahi hain

auraq-e-dil-o-jaan pe jinhen tum ne likha hai

naghmat-e-alam hum ne sunae bhi wahi hain

ai josh-e-junun dard ka aalam bhi wahi hai

ai wahshat-e-jaan dard ke sae bhi wahi hain

dekha hai jinhen aah-ba-lab chaak-gareban

har dagh-e-alam dil mein chhupae bhi wahi hain

sau rang bikherenge mohabbat ke shagufe

'gulnar' chaman mein hamein lae bhi wahi hain

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Aansu Bhi Wahi Karb Ke Sae Bhi Wahi Hain in PDF.