Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha

wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha

hath mein wo hath le kar umr bhar chalta raha

ek aansu yaad ka Tapka to dariya ban gaya

zindagi bhar mujh mein ek tufan sa palta raha

jaanti hun ab use main pa nahin sakti magar

har jagah sae ki surat sath kyun chalta raha

jo meri nazron se ojhal ho chuka muddat hui

wo KHayalon mein basa aur sher mein Dhalta raha

ranj tha 'gulnar' mujh ko us ko bhi afsos tha

der tak rota raha aur hath bhi malta raha

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Wo Charagh-e-zist Ban Kar Rah Mein Jalta Raha in PDF.