Raat Har Bar Liye

raat har bar liye

KHauf ke KHali paikar

KHun mera mangne

be-KHauf chali aati hai

aur jalti hui aankhon ke

tahayyur ke tale

ek sannaTa

bahut shor kiya karta hai

kuchh to kaTta hai

taDapta hai

bahata hai lahu

aur khul jate hain

reshon ke purane baKHiye

raat har bar meri

jagti palken chun kar

andhe gumnam darichon pe

saja jati hai

aur dhundlae hue

gard-zada raston mein

ek aahaT ka sira hai

jo nahin milta hai

aasman gili chaTanon pe

Tikae chehra

siskiyan leta hai

sahme hue bachche ki tarah

aur darichon pe dhari

kanpti palken meri

gul-zaminon ke nae

KHwab buna karti hain

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Har Bar Liye In English By Famous Poet Gulnaz Kausar. Raat Har Bar Liye is written by Gulnaz Kausar. Read famous Poem Raat Har Bar Liye for youth and Student by Gulnaz Kausar. Free Download Raat Har Bar Liye in PDF.