Wafa Ki Tashhir Karne Wala Fareb-gar Hai Sitam To Ye Hai

wafa ki tashhir karne wala fareb-gar hai sitam to ye hai

nigah-e-yaran mein phir bhi wo shaKHs mo'tabar hai sitam to ye hai

hum aise sada-dilon ko tujh se milegi dad-e-KHulus kaise

zamana-sazi ki KHu tere ahd mein hunar hai sitam to ye hai

agar tujhe ilm hi na hota to phir kabhi hum gila na karte

sukun kyun chhin gaya hamara tujhe KHabar hai sitam to ye hai

karishma-e-husn daman-e-dil ko khinchta hai qadam qadam par

sataish-e-KHal-o-KHad ki miad muKHtasar hai sitam to ye hai

khula hai bab-e-qafas to is par KHushi ka izhaar kar rahe ho

mili hai jis ko rihai mahrum-e-baal-o-par hai sitam to ye hai

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ki Tashhir Karne Wala Fareb-gar Hai Sitam To Ye Hai In English By Famous Poet Gulzar Bukhari. Wafa Ki Tashhir Karne Wala Fareb-gar Hai Sitam To Ye Hai is written by Gulzar Bukhari. Read famous Poem Wafa Ki Tashhir Karne Wala Fareb-gar Hai Sitam To Ye Hai for youth and Student by Gulzar Bukhari. Free Download Wafa Ki Tashhir Karne Wala Fareb-gar Hai Sitam To Ye Hai in PDF.