Zahir Musafiron Ka Hunar Ho Nahin Raha

zahir musafiron ka hunar ho nahin raha

chal bhi rahe hain aur safar ho nahin raha

kya hashr hai ki barish-e-naisan ke bawajud

paida kisi sadaf mein guhar ho nahin raha

subh-e-visal kab se numudar ho chuki

napaid sham-e-hijr ka Dar ho nahin raha

qail tamam shahr tere eatibar ka

hona to chahiye tha magar ho nahin raha

baiThe hue hain der se shatir bisat par

mohara koi idhar se udhar ho nahin raha

lagta hai yun qayam hai apna sarae mein

hum jis makan mein hain wo ghar ho nahin raha

murda hue hain lafz ki patthar samaaten

KHami kahin to hai ki asar ho nahin raha

'gulzar' sab ne peD ko sincha hai KHun se

taqsim har kisi pe samar ho nahin raha

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahir Musafiron Ka Hunar Ho Nahin Raha In English By Famous Poet Gulzar Bukhari. Zahir Musafiron Ka Hunar Ho Nahin Raha is written by Gulzar Bukhari. Read famous Poem Zahir Musafiron Ka Hunar Ho Nahin Raha for youth and Student by Gulzar Bukhari. Free Download Zahir Musafiron Ka Hunar Ho Nahin Raha in PDF.